KHak-zada hun magar ta-ba falak jata hai
mera idrak bahut dur talak jata hai
teri nisbat ko chhupata to bahut hun lekin
tera chehra meri aankhon se jhalak jata hai
ek haqiqat se ubhar aata hai har shai ka wajud
ek jugnu se andhera bhi chamak jata hai
yun to mumkin nahin dushman mere sar par pahunche
pahre-daron mein koi aankh jhapak jata hai
main faqat KHak pe rakhta hun jabin ko 'shahbaz'
aasman KHud hi meri samt sarak jata hai
Ghazal
KHak-zada hun magar ta-ba falak jata hai
Shahbaz Khwaja