اردو हिंदी
KHak the ghuncha-lab aur KHwab thi lahje ki khanak | Shaahi Shayari
KHak the ghuncha-lab aur KHwab thi lahje ki khanak

Ghazal

KHak the ghuncha-lab aur KHwab thi lahje ki khanak

Khalid Iqbal Taib

;

KHak the ghuncha-lab aur KHwab thi lahje ki khanak
jhaD gaya qabr mein jab husn-e-sarapa ka namak

wo jin aankhon mein thi barsat ke manzar ki jhalak
ab un aankhon mein safedi na siyahi na dhanak

wo surahi si jo gardan ki hai TuTi-phuTi
wo kamar hi na rahi jis mein ki paida ho lachak

qabr ki KHak hi ghaza hai wahi zinat hai
wan na afshan na hi surKHi na hi jhumar na tilak