KHak o KHun ki nai tanzim mein shamil ho jao
zinda rahna ho tumhein bhi to mera dil ho jao
be-badan ruh bane phirte rahoge kab tak
jao chupke se kisi jism mein daKHil ho jao
shahr tum ko jo pareshan bahut karta hai
dasht ban jao aur is shahr pe nazil ho jao
naKHun-e-ishq se phir sahl bana lenge tumhein
sohbat-e-shahr mein tum kitne hi mushkil ho jao
be-natija hi rahega ye musalsal Takrao
ya to duniya ke bano ya mutabaadil ho jao
haq-parasti bhi ajab kar-e-mohabbat hai jahan
ek qadam had se guzar jao to baatil ho jao
'farhat-ehsas' Thahar jao ye ujlat kaisi
abhi kuchh aur bhi ho lo kisi qabil ho jao
Ghazal
KHak o KHun ki nai tanzim mein shamil ho jao
Farhat Ehsas