KHak mein mujh ko meri jaan mila rakkha hai
kya main aansu hun jo nazron se gira rakkha hai
ek tumhin ko nahin bechain bana rakkha hai
arsh bhi to mere nalon se hila rakkha hai
sorish-e-hijr ne ek sim-badan ke mujh ko
aisa phunka hai ki iksir bana rakkha hai
ek pari-wash ki inayat ne zamane mein mujhe
waqt ka apne sulaiman bana rakkha hai
apne saya se bhaDak kar kaha us shoKH ne yun
mere allah kise sath laga rakha hai
dil to deta hun meri jaan magar gham hai yahi
mere armanon ne ghar is mein bana rakkha hai
dil ke talib jo hua karte hain aashiq se hasin
to unhen husn ne ye kaam sikha rakkha hai
samne aate hue kis liye sharmate ho
jab meri aankh mein ghar tum ne bana rakkha hai
muft dil ko mere ai barq wash ulfat hai teri
muztarib surat-e-simab bana rakkha hai
teri duz-dida nigahen ye pata deti hain
ki inhin choron ne dil mera chura rakkha hai
mal chori ka nahin jab to bata do mujh ko
tum ne kis chiz ko muTThi mein daba rakkha hai
tum ne kyun dil mein jagah di hai buton ko 'sabir'
tum ne kyun kaba ko but-KHana bana rakkha hai
Ghazal
KHak mein mujhko meri jaan mila rakkha hai
Fazal Husain Sabir