KHak ke putlon mein patthar ke badan ko wasta
is sanam-KHane mein sari umr mujh se hi paDa
jab safar ki dhup mein murjha ke hum do pal ruke
ek tanha peD tha meri tarah jalta hua
jangalon mein ghumte phirte hain shahron ke faqih
kya daraKHton se bhi chhin jaega aalam wajd ka
narm-rau pani mein pahron TikTiki bandhe hue
ek chehra dekhta tha bolta sa aaina
ye siyahi KHun mein ek roz mil jaegi jab
chaudhwin ka chand kamre mein utar aae to kya
Ghazal
KHak ke putlon mein patthar ke badan ko wasta
Wahab Danish