KHak karti hai ba-rang-e-charKH-e-nili-fam raqs
har do-alam ko tera rakhta hai be-aram raqs
dekhiye piri ka haal aur dekhiye rish-e-safed
shaiKH sahab na-munasib hai ye be-hangam raqs
ablaq-e-chashm-e-butan ki shoKHiyan chakra gain
aasman par mehr-o-mah karte hain subh-o-sham raqs
ho haqiqi ya majazi ishq ki haalat na puchh
KHanqa mein mai hai aur mai-KHane mein badnam raqs
saumia mein wajh-e-sad-tahsin hua sufi ka haal
mai-kade mein aan kar kyun ho gaya badnam raqs
nargis-e-maKHmur-e-jaanan Dal deti gar nigah
mardum-e-chashm-e-butan ki tarah karta jam raqs
aashiqan abru-e-but ki hai taat iztirab
thi namaz ahl-e-haram jab tak na tha islam raqs
gird phirta hun jo is bar ke to waiz kya hua
tauf mein karta hai tu bhi bandh kar ehram raqs
bahr mein gardab hai aur dasht mein hai gard-baad
KHushk-o-tar mein hai teri shoKHi se ai gulfam raqs
shoKH ne barham nizam-e-mahfil-e-imkan kiya
KHak ne chheDa hai gardun ne liya hai tham raqs
paemal-e-gham pise jate hain surme ki tarah
le uDi kis ke qadam se gardish-e-ayyam raqs
teri shoKHi se teri raftar se ai rashk-e-bagh
chaukDi bhola hiran taus-e-gul-andam raqs
aish jawed un ko hasil hai jo hain teri taraf
taer-e-qibla-numa karta hai subh-o-sham raqs
Ghazal
KHak karti hai ba-rang-e-charKH-e-nili-fam raqs
Bayan Meeruti