KHak dekhi hai shafaq-zar falak dekha hai
zarf bhar teri tamanna mein bhaTak dekha hai
aisa lagta hai koi dekh raha hai mujh ko
lakh is wahm ko sochon se jhaTak dekha hai
qudrat-e-zabt bhi logon ko dikhai hum ne
surat-e-ashk bhi aankhon se chhalak dekha hai
jaane tum kaun se manzar mein chhupe baiThe ho
meri aankhon ne bahut dur talak dekha hai
raat ka KHauf nahin ghaTta andhera to kuja
sab tarah-dar sitaron ne chamak dekha hai
ek muddat se use dekh raha hun 'ahmad'
aur lagta hai abhi ek jhalak dekha hai
Ghazal
KHak dekhi hai shafaq-zar falak dekha hai
Ahmad Rizwan