KHak atraf mein uDti hai bahut pani de
is masafat ko bhi ek KHitta-e-barani de
kuchh dinon dasht bhi aabaad hua chahta hai
kuchh dinon ke liye ab shahr ko virani de
ya mujhe mamlikat-e-ishq ki shahi se nawaz
ya mujhe phir se wahi be-sar-o-samani de
meri danai ne rakkha na kahin ka mujh ko
mere maula tu mujhe phir wahi nadani de
ab kahani ko bhi uljha zara afsana-taraaz
shauq kuchh aur baDha aankh ko hairani de

Ghazal
KHak atraf mein uDti hai bahut pani de
Nadeem ahmad