اردو हिंदी
Kha ke kal ho pech-o-tab uTha jo dil se nala tha | Shaahi Shayari
kha ke kal ho pech-o-tab uTha jo dil se nala tha

Ghazal

Kha ke kal ho pech-o-tab uTha jo dil se nala tha

Mamnoon Nizamuddin

;

kha ke kal ho pech-o-tab uTha jo dil se nala tha
ja ke gardun pe chamakta shola-e-jawwala tha

KHwab mein bosa liya tha raat ba-lab-e-nazuki
subh dam dekha to us ke honTh pe but-KHala tha

wah ri afsurdagi is KHatir-e-dil-gir ki
ashk ka qatra jo Tapka chashm se so zhaala tha

thi KHayale-e-mah-ruKHan se shab baghal labrez nur
aab se KHali wa-lekin mai ba-rang-e-haala tha

kal ba-rang-e-ghuncha thi kis ko majal-e-guftugu
baat jab karta tha munh mein dil ka yak parkala tha

bad-gumani se Dara warna liya tera jo nam
dekhna bose ki KHatir main lab-e-dallala tha