اردو हिंदी
Kaun yaad aaya ye mahkaren kahan se aa gain | Shaahi Shayari
kaun yaad aaya ye mahkaren kahan se aa gain

Ghazal

Kaun yaad aaya ye mahkaren kahan se aa gain

Zafar Gorakhpuri

;

kaun yaad aaya ye mahkaren kahan se aa gain
dasht mein KHushbu ki bauchhaaren kahan se aa gain

kaisi shab hai ek ek karwaT pe kaT jata hai jism
mere bistar mein ye talwaren kahan se aa gain

KHwab shayad phir hua aankhon mein koi sangsar
zer-e-mizhgan KHun ki dhaaren kahan se aa gain

shayad ab tak mujh mein koi ghonsla aabaad hai
ghar mein ye chiDiyon ki chahkaren kahan se aa gain

sath hai milna agar chahun to milta bhi nahin
ek ghar mein itni diwaren kahan se aa gain

rakh diya kis ne mere shane pe apna garm hath
mujh shikasta-pa mein raftaren kahan se aa gain