اردو हिंदी
Kaun wan jubba-o-dastar mein aa sakta hai | Shaahi Shayari
kaun wan jubba-o-dastar mein aa sakta hai

Ghazal

Kaun wan jubba-o-dastar mein aa sakta hai

Azim Haidar Syed

;

kaun wan jubba-o-dastar mein aa sakta hai
ghar ka ghar hi jahan bazar mein aa sakta hai

kis liye KHud ko samajhta hai wo patthar ki lakir
us ka inkar bhi iqrar mein aa sakta hai

mujh ko malum hai dariyaon ka kaf hai tujh mein
tu mere mauja-e-pindar mein aa sakta hai

ai hawa ki tarah aThkheliyan karne wale
bal kabhi waqt ki raftar mein aa sakta hai

sar pe suraj hai to phir chhanw se mahzuz na ho
dhup ka rang bhi diwar mein aa sakta hai

ye jo main apne tain shaeri karta hun 'azim'
kya taKHayyul mera izhaar mein aa sakta hai