kaun si shaKH ka patta tha hara bhul gaya
peD se TuT ke main apna pata bhul gaya
main koi wada-faramosh nahin hun phir bhi
mujh pe ilzam hai main apna kaha bhul gaya
apne bachchon ke khilaune to use yaad rahe
ghar mein bimar paDi man ki dawa bhul gaya
kar to din main ne charaghon ki qataren raushan
hai zamane ki magar tez hawa bhul gaya
KHauf-e-dozaKH se Daraata raha waiz mujh ko
aur KHud apne gunahon ki saza bhul gaya
tujh se kuchh kaam tha lekin tere ghar ke aage
ab khaDa soch raha hun ki main kya bhul gaya
be-KHudi had se jo guzri to main ek roz 'nafas'
ghar se kya nikla ki phir ghar pata ka bhul gaya

Ghazal
Kaun si shaKH ka patta tha hara bhul gaya
Nafas Ambalvi