اردو हिंदी
Kaun se jazbaat le kar tere pas aaya karun | Shaahi Shayari
kaun se jazbaat le kar tere pas aaya karun

Ghazal

Kaun se jazbaat le kar tere pas aaya karun

Riaz Majeed

;

kaun se jazbaat le kar tere pas aaya karun
tu bata kis zawiye se main tujhe dekha karun

ye bhi ek shart-e-safar hai ham-safar koi na ho
jis kisi bhi raste ko tai karun tanha karun

ai guzarte waqt tu kab mere bas mein aaega
lamha-e-parran bata kab tak tera pichha karun

halqa-e-ahbab baDhta ja raha hai din-ba-din
ab main apne aap ko bhi aur kuchh gahra karun

kya tere hi qurb ke muhtaj the sab silsile
kuchh samajh mein hi nahin aata ki main ab kya karun

an-ginat banti bigaDti KHwahishon ki zad mein hun
dil kahin Thahra bhi ho main dil ka kya kahna karun

mere milne walon mein se kaun milta hai tujhe
tu kahan hai aur kaisa hai kise puchha karun

mujh mein bhi teri tabiat ka zara sa rang hai
tu nahin to kyun na apne aap ko chaha karun

mere sheron mein teri be-chaargi ka dukh bhi ho
kash jo tu sochta hai wo bhi main likkha karun

kya se kya hone ka dukh bhi kitna karb-angez hai
kis tawaqqo par 'riyaz' ab aaina dekha karun