kaun se din teri yaad ai but-e-saffak nahin
kaun si shab hai ki KHanjar se jigar chaak nahin
lutf-e-qatil mein tammul nahin par kya kije
sar-e-shorida mera qabil-e-fitrak nahin
tujh par ai dilbar-e-alam jo har ek marta hai
is liye marne se mere koi ghamnak nahin
dil hua pak to phir kaun nazar karta hai
aur dil pak nahin hai to nazar pak nahin
ilm aur jahl mein kuchh farq na ho kya mani
hum bhi bebak hain par ghair se bebak nahin
qais ko fazl-e-taqaddum hai wagarna yan kya
sar-e-shorida nahin ya jigar-e-chaak nahin
ma-siwa allah na rahe 'shefta' hargiz dil mein
khusrawi kaKH saza-e-KHas-o-KHashak nahin

Ghazal
Kaun se din teri yaad ai but-e-saffak nahin
Shefta Mustafa Khan