kaun sa din ki mujhe us se mulaqat nahin
lek ji chahe hai jun milne ko wo baat nahin
aankh laD jae hai yun ab bhi to us ki mahram
lek nazron mein wo aage ki si samkhat nahin
jis jhamakDe se ki nit chashm meri Tapke hai
aisi jhaDiyon se to barsi kabhi barsat nahin
raunaq-e-baada-parasti thi hamin tak jab se
hum ne ki tauba kahin nam-e-KHarabaat nahin
shaiKH ki daDhi ki jo kahiye baDai sach hai
is siwa aur par ek pashm karamat nahin
aa jo milta hai to mil le tu ki fursat hai muft
ek chashmak mein meri jaan ye phir raat nahin
rakh tu sargoshi ke hile ko to munh par 'qaem'
bosa lene ki is amboh mein go ghat nahin
Ghazal
Kaun sa din ki mujhe us se mulaqat nahin
Qayem Chandpuri