kaun pahchane mujhe shab bhar to KHatron mein raha
wo andhera hun jo din bhar band kamron mein raha
sab ki nazren roz paDti thin koi paDhta na tha
main to har aKHbar ki gumnam KHabron mein raha
main ne duniya chhoD di lekin mera murda badan
ek uljhan ki tarah qatil ki nazron mein raha
aaj ka insan chadar oDh kar ehsas ki
zindagi ke shahr mein ji kar bhi qabron mein raha
waqt ne qatron ko samjha hai samundar ki tarah
jo samundar tha hamesha chand qatron mein raha
jis ko baKHsha hai KHuda ne fikr ka jazba 'nazir'
wo purani aur nai sari hi qadron mein raha
Ghazal
Kaun pahchane mujhe shab bhar to KHatron mein raha
Nazeer Baaqri