kaun KHwahish kare ki aur jiye
ek bezar zindagi ke liye
aur koi nahin hai us ke siwa
sukh diye dukh diye usi ne diye
aao honTon pe lafz rakh len hum
ek muddat hui hai baat kiye
zaKHm ko ras aa gai hai hawa
ab masiha ise siye na siye
us ke piyale mein zahr hai ki sharab
kaise malum ho baghair piye
ab thakan dard banti jati hai
dil se kuchh kaam bhi to aise liye
main ne man ka libas jab pahna
mujh ko titli ne apne rang diye
Ghazal
Kaun KHwahish kare ki aur jiye
Fatima Hasan