kaun kahta hai tere dil mein utar jaunga
main to lamha hun tujhe chhu ke guzar jaunga
shab ke chehre mein koi rang to bhar jaunga
chal paDa hun to main ab ta-ba-sahar jaunga
aasmanon ki safen kaT ke pahuncha tha yahan
ab teri aankh se TuTa to kidhar jaunga
apni nazron ka koi daera ban ke mere gird
warna in tez hawaon mein bikhar jaunga

Ghazal
Kaun kahta hai tere dil mein utar jaunga
Rasheed Qaisrani