اردو हिंदी
Kaun kahta hai nasim-e-sahari aati hai | Shaahi Shayari
kaun kahta hai nasim-e-sahari aati hai

Ghazal

Kaun kahta hai nasim-e-sahari aati hai

Bashiruddin Ahmad Dehlvi

;

kaun kahta hai nasim-e-sahari aati hai
nikhat-e-gul mein basi ek pari aati hai

shauq se zulm karo shauq se do tum aazar
ye samajh lo mujhe bhi nauhagari aati hai

koi kahta hai ki aata hai dukhana dil ka
koi kahta hai tumhein chaaragari aati hai

dard-e-ulfat ko baDha kar wo ghaTa dete hain
chaak dil kyun na karen baKHiya-gari aati hai

jhuT se mujh ko na matlab na banawaT se kaam
baat jo aati hai munh par wo khari aati hai

zor se sans jo leta hun to akasr shab-e-gham
dil ki aawaz ajab dard bhari aati hai

dast-e-wahshat ka mere shughl wo kya puchhte hain
kuchh nahin aata faqat jama-dari aati hai

kaam karne ke saliqe se hum aagah nahin
aur kya aata hai bas be-hunari aati hai

dil-e-pazhmurda khila jata hai kyun aaj bashir
aa gai hai koi ya KHush-KHabari aati hai