kaun hai ye matl-e-taKHill par mahtab sa
meri rag rag mein bapa hone laga sailab sa
aag ki lapTon mein hai lipTa hua sara badan
haDDiyon ki nalkiyon mein bhar gaya tezab sa
KHwahishon ki bijliyon ki jalti bujhti raushni
khinchti hai manzaron mein naqsha-e-asab sa
kis bulandi par uDa jata hun bar-dosh-e-hawa
aasman bhi ab nazar aane laga payab sa
tairta hai zehn yun jaise faza mein kuchh nahin
aur dil sine mein hai ek mahi-e-be-ab sa
Ghazal
Kaun hai ye matl-e-taKHill par mahtab sa
Ameeq Hanafi