kaun hai kis ne pukara hai sada kaise hui
ye kiran tariki-e-shab se riha kaise hui
ek ek pal mein utar kar sochta rahta hun main
nur kis ka hai mere KHun mein ziya kaise hui
KHwahishen aaen kahan se kyun uchhalta hai lahu
rut hari kyunkar hui pagal hawa kaise hui
us ke jaane ka yaqin to hai magar uljhan mein hun
phul ke hathon se ye KHush-bu juda kaise hui
wo macha hai ghul ki barham ho gai hain suraten
kaun kis kis se ye puchhega KHata kaise hui
jism o jaan ka fasla hai hasil-e-gard-e-safar
justuju-e-zindagi tera pata kaise hui
hans diya tha sun ke wo 'sarmad' bas itna yaad hai
baat us ke samne lekin ada kaise hui
Ghazal
Kaun hai kis ne pukara hai sada kaise hui
Sarmad Sahbai