kaun dekhe meri shaKHon ke samar TuTe hue
ghar se bahar raston mein hain shajar TuTe hue
luT gaya din ka asasa aur baqi rah gae
sham ki dahliz par lal o guhar TuTe hue
yaad-e-yaran dil mein aai huk ban kar rah gai
jaise ek zaKHmi parinda jis ke par TuTe hue
raat hai aur aati jati saaten aankhon mein hain
jaise aaine bisat-e-KHwab par TuTe hue
aabgine pattharon par sar-nigun hote gae
aur hum bach kar nikal aae magar TuTe hue
mil gae miTTi mein kya kya muntazir aankhon ke KHwab
kis ne dekhe hain sitare KHak par TuTe hue
wo jo dil ki mamlikat thi babari masjid hui
bastiyan sunsan ghar viran dar TuTe hue
Ghazal
Kaun dekhe meri shaKHon ke samar TuTe hue
Hasan Abidi