kaun barham hai zulf-e-jaanan se
tang hun KHatir-e-pareshan se
muzhda ai KHar-e-dasht dast-e-junun
guzre hum daman o gareban se
dant kis ka hai jam par saqi
mai Tapakti hai abr-e-naisan se
gar yahi rang hai zamane ka
baz aaya main kufr o iman se
baiTh jata hai aa ke mere pas
jo nikalta hai bazm-e-jaanan se
hur aashiq-nawaz hai koi
pahle puchhenge hum ye rizwan se
Ghazal
Kaun barham hai zulf-e-jaanan se
Sheikh Bimar Ali Bakhsh