kaThin hai rahguzar thoDi dur sath chalo
bahut kaDa hai safar thoDi dur sath chalo
tamam umr kahan koi sath deta hai
ye jaanta hun magar thoDi dur sath chalo
nashe mein chur hun main bhi tumhein bhi hosh nahin
baDa maza ho agar thoDi dur sath chalo
ye ek shab ki mulaqat bhi ghanimat hai
kise hai kal ki KHabar thoDi dur sath chalo
abhi to jag rahe hain charagh rahon ke
abhi hai dur sahar thoDi dur sath chalo
tawaf-e-manzil-e-jaanan hamein bhi karna hai
'faraaz' tum bhi agar thoDi dur sath chalo
Ghazal
KaThin hai rahguzar thoDi dur sath chalo
Ahmad Faraz