kashtiyan Dub rahi hain koi sahil lao
apni aankhen meri aankhon ke muqabil lao
phul kaghaz ke hain ab kanch ke gul-danon mein
tum bhi bazar se patthar ke anadil lao
ek aawaz ubharti hai pas-e-manzar-e-KHun
ai ujalo meri taswir ka qatil lao
muD ke dekhoge to patthar se badal jaoge
ab tasawwur mein na chhoDi hui manzil lao
raushni hai meri viran-nigahi ka sabab
ab na chehra koi suraj ke mumasil lao
Ghazal
Kashtiyan Dub rahi hain koi sahil lao
Jamuna Parsad Rahi