kashti-e-mai ko tasawwur mein rawan rakhte hain
jeb KHali hai magar dil to jawan rakhte hain
hum ki mahrum hain didar-e-KHudawandi se
chashm-e-zahir to ba-har-su nigaran rakhte hain
KHanqahon se talluq hai na darbaron se
nisbat-e-silsila-e-zulf-e-butan rakhte hain
jhuk hi jata hai falak aankh jahan paDti hai
chum leti hai zamin panw jahan rakhte hain
hum se aabaad hai mai-KHana-e-hasti yani
dil ko rakhte hain subuk-sar ko garan rakhte hain
Ghazal
Kashti-e-mai ko tasawwur mein rawan rakhte hain
Khurshid-ul-islam

