kashti bhi nahin badli dariya bhi nahin badla
aur Dubne walon ka jazba bhi nahin badla
taswir nahin badli shisha bhi nahin badla
nazren bhi salamat hain chehra bhi nahin badla
hai shauq-e-safar aisa ek umr se yaron ne
manzil bhi nahin pai rasta bhi nahin badla
bekar gaya ban mein sona mera sadiyon ka
is shahr mein to ab tak sikka bhi nahin badla
be-samt hawaon ne har lahr se sazish ki
KHwabon ke jazire ka naqsha bhi nahin badla
Ghazal
Kashti bhi nahin badli dariya bhi nahin badla
Ghulam Mohammad Qasir