اردو हिंदी
Kase kajawe mahmalon ke aur jaga raat ka tara bhi | Shaahi Shayari
kase kajawe mahmalon ke aur jaga raat ka tara bhi

Ghazal

Kase kajawe mahmalon ke aur jaga raat ka tara bhi

Ali Akbar Natiq

;

kase kajawe mahmalon ke aur jaga raat ka tara bhi
chhoD di basti naqon ne KHamosh hua naqqara bhi

chand si aankhen khel rahi thin surKH pahaD ki oTon se
purab or se tak raha tha uTh kar abr ka para bhi

qafile gard-e-safar mein Dube, ghanTiyon ki aawaz ghuTi
aaKHiri unT ki pusht pe Dala raat ne siyah gharara bhi

shahr ke chauk mein virani hai aag bujhi, andher hua
rakh saron mein Dal ke baiThe, aaj tere aawara bhi

koi na rasta nap saka hai, ret pe chalne walon ka
agle qadam par miT jaega pahla naqsh hamara bhi