kasak purane zamane ki sath laya hai
tera KHayal ki barson ke baad aaya hai
kisi ne kyun mere qadmon tale bichhaya hai
wo rasta ki kahin dhup hai na saya hai
Dagar Dagar wahi galiyan chali hain sath mere
qadam qadam pe tera shahr yaad aaya hai
bata rahi hai ye shiddat ujaD mausam ki
shaguft-e-gul ka zamana qarib aaya hai
hawa-e-shab se kaho aae phir bujhane ko
charagh hum ne sar-e-sham phir jalaya hai
kaho ye Dubte taron se do ghaDi ruk jaen
nishan-e-gum-shudagan muddaton mein paya hai
bas ab ye pyas ka sahra ubur kar jao
nadi ne phir tumhein apni taraf bulaya hai
fusun-e-KHwab-e-tamasha ki TuTta jae
main so raha tha ye kis ne mujhe jagaya hai
sulag uThe hain sharare badan mein kyun 'maKHmur'
KHunuk hawa ne jo baDh kar gale lagaya hai

Ghazal
Kasak purane zamane ki sath laya hai
Makhmoor Saeedi