karta hai bagh-e-dahr mein nairangiyan basant
aaya hai lakh rang se ai baghban basant
ham-rang ki hai dun nikal ashrafi ke sath
pata hai aa ke rang-e-talai yahan basant
joban par in dinon hai bahaar-e-nashat-e-bagh
leta hai phul bhar ke yahan jholiyan basant
mubaf zard rang hai sumbul ki choT mein
khota hai bu-e-gul ki pareshaniyan basant
nawwab-e-nam-dar 'zafar-jang' ke huzur
gati hai aa ke zohra-e-gardun-makan basant
jam-e-aqiq zard hai nargis ke hath mein
taqsim kar raha hai mai-e-arghawan basant
hote hain tairan-e-chaman nargisi kabab
kah do ki is qadar na kare garmiyan basant
chehre tamam zard hain daulat ke rang se
koThi mein ho gaya hai sarapa ayan basant
nila hua hai munh gul-e-sausan ka bagh mein
leta hai iKHtilat mein kya chuTkiyan basant
kaDwe dhare hue hain jo nawwab ke huzur
bahar hai apne jame se ai baghban basant
pukhraj ke gilason mein hai lala-gun sharab
sone ka pani pi ke hai ratab-ul-lisan basant
sarson jo phuli dida-e-jam-e-sharab mein
bint-ul-anab se karne laga shoKHiyan basant
zer-e-qadam hai farsh-e-basanti huzur ke
masruf pa-e-boss mein hai har zaman basant
main gard-posh ho ke bana shaKH-e-zafaran
lipTa hua hai mere badan se yahan basant
karta hun ab tamam dua par ye chand sher
aaya pasand majma-e-ahl-e-zaman basant
jab tak ki mahw-e-qahqaha hun gul hazar mein
rangin tar hai sifat-e-zafaran basant
yarab hazar sal salamat rahen huzur
ho roz jashn-e-id yahan jawedan basant
ahbab surKH-ru rahen dushman hon zard-ru
jab tak manaen mardum-e-hindostan basant
zardi ki tarah baiza-e-bulbul mein chhup rahe
is bagh se na jae miyan-e-KHizan basant
taqdir mein thi furqat-e-yaran-e-lucknow
is shahr mein 'munir' kahan tha kahan basant
Ghazal
Karta hai bagh-e-dahr mein nairangiyan basant
Muneer Shikohabadi