اردو हिंदी
Karne laga dil talab jab wo but-e-KHush-e-mizaj | Shaahi Shayari
karne laga dil talab jab wo but-e-KHush-e-mizaj

Ghazal

Karne laga dil talab jab wo but-e-KHush-e-mizaj

Nazeer Akbarabadi

;

karne laga dil talab jab wo but-e-KHush-e-mizaj
hum ne kaha jaan kal us ne kaha hans ke aaj

zulf ne us ki diya kakul sumbul ko rashk
chashm-e-siyah ne liya chashm se aahu ke baj

us ki wo bimar chashm dekh raha tu jo dil
rah to sahi main tera karta hun kaisa ilaj

kaam paDa aan kar chah se jis din hamein
chhuT gae us rose se aur jo the kaam-kaj

dil to na dete hum aah le gai lekin 'nazir'
us ki jabin ki haya aur wo aankhon ki laj