karishma-saz-e-azal kya tilism bandha hai
parida rang hai har naqsh phir bhi pyara hai
tu ru-ba-ru ho to ai ru-e-yar tujh se kahen
wo harf-e-gham ki harif-e-gham-e-zamana hai
kabhi to hum pe uThe chashm-e-ashna ki tarah
wo ek nigah ki sad-gardish-e-zamana hai
hamari aankhon se nairangi-e-jahan dekho
hamari aankhon mein ek umr-e-sad-tamasha hai
hawa-e-shauq wo din kis KHizan ke sath gae
tamam umr hui intizar-e-farda hai
Ghazal
Karishma-saz-e-azal kya tilism bandha hai
Mahmood Ayaz