karishma-sazi-e-dil dekhta hun
tumhein apne muqabil dekhta hun
jahan manzil ka imkan hi nahin hai
wahan aasar-e-manzil dekhta hun
sada di tu ne kya jaane kahan se
magar main jaanib-e-dil dekhta hun
kahan ka rahnuma aur kaisi rahen
jidhar baDhta hun manzil dekhta hun
ishaara hai tera tufan ki jaanib
magar main hun ki sahil dekhta hun
mohabbat hi mohabbat hai jahan par
mohabbat ki wo manzil dekhta hun
mere hathon mein bhi hai saz lekin
abhi main rang-e-mahfil dekhta hun
tere hathon se jo TuTa tha ek din
wahi TuTa hua dil dekhta hun
kabhi tufan hi tufan hai nazar mein
kabhi sahil hi sahil dekhta hun
ghurur-e-husn-e-baatil par nazar hai
niyaz-e-ishq-e-kaamil dekhta hun
'majaz' aur husn ke qadmon pe sajde
maal-e-zoam-e-baatil dekhta hun
Ghazal
Karishma-sazi-e-dil dekhta hun
Asrar-ul-Haq Majaz