karen salam use to koi jawab na de
ilahi itna bhi us shaKHs ko hijab na de
tamam shahr ke chehron ko paDhne nikla hun
ai mere dost mere hath mein kitab na de
ghazal ke nam ko badnam kar diya us ne
kuchh aur de mere saqi mujhe sharab na de
main tujh ko dekh ke tere bharam ko jaan sukun
ek aadmi hun zara soch aisi tab na de
wo mil na pae agar mujh ko is zamane mein
to aisi hur ka duniya mein koi KHwab na de
ye mere fan ki talab hai ki dil ki baat kahun
wo 'ashk' de ki zamane ko inqilab na de
Ghazal
Karen salam use to koi jawab na de
Ibrahim Ashk