karb chehron pe sajate hue mar jate hain
hum watan chhoD ke jate hue mar jate hain
zindagi ek kahani ke siwa kuchh bhi nahin
log kirdar nibhate hue mar jate hain
umr-bhar jin ko mayassar nahin hoti manzil
KHak rahon mein uDate hue mar jate hain
kuchh parinde hain jo sukhe hue dariyaon se
ilm ki pyas bujhate hue mar jate hain
zinda rahte hain kai log musafir ki tarah
jo safar mein kahin jate hue mar jate hain
un ka paigham mila karta hai ghairon se mujhe
wo mere pas KHud aate hue mar jate hain
jin ko apno se tawajjoh nahin milti 'jawed'
hath ghairon se milate hue mar jate hain
Ghazal
Karb chehron pe sajate hue mar jate hain
Malikzada Javed