اردو हिंदी
Karam mein hai na sitam mein na iltifat mein hai | Shaahi Shayari
karam mein hai na sitam mein na iltifat mein hai

Ghazal

Karam mein hai na sitam mein na iltifat mein hai

Mushtaq Naqvi

;

karam mein hai na sitam mein na iltifat mein hai
jo baat teri nigahon ki ehtiyat mein hai

kuchh is tarah se chale ja rahe hain kanTon par
ki jaise hath hamara tumhaare hath mein hai

diye jale hain saji ja rahi hai kal ki dulhan
ajib husn gham-e-zindagi ki raat mein hai

khaDi hai sail-e-hawadis ke darmiyan ab tak
baDa sabaat mari umr-e-be-sabaat mein hai

na koi dost kisi ka na koi dushman hai
hamara dost wa dushman hamari zat mein hai