اردو हिंदी
Karam ke bab mein apnon se ibtida kiya kar | Shaahi Shayari
karam ke bab mein apnon se ibtida kiya kar

Ghazal

Karam ke bab mein apnon se ibtida kiya kar

Majeed Akhtar

;

karam ke bab mein apnon se ibtida kiya kar
zara si baat pe dil ko na yun bura kiya kar

namaz-e-ishq hai TuTe dilon ki dildari
mere aziz na is ko kabhi qaza kiya kar

ujale ke liye hai chashm o dil ka aaina
bapa kabhi kisi mazlum ki aza kiya kar

ba-nam-e-mazhab-o-millat ye KHun bahana kya
hari hari wo karen tu KHuda KHuda kiya kar

baja sahi ye haya aur ye ehtiyat magar
kabhi kabhi to mohabbat mein hausla kiya kar

nazar mein rakh mere izhaar ki zarurat ko
kabhi to nun ka elan bhi rawa kiya kar

wo aib Dhakta hai tere sabhi majid-'aKHtar'
so tu bhi darguzar ahbab ki KHata kiya kar