اردو हिंदी
Karahte hue insan ki sada hum hain | Shaahi Shayari
karahte hue insan ki sada hum hain

Ghazal

Karahte hue insan ki sada hum hain

Habib Jalib

;

karahte hue insan ki sada hum hain
main sochta hun meri jaan aur kya hum hain

jo aaj tak nahin pahunchi KHuda ke kanon tak
sar-e-dayar-e-sitam aah-e-na-rasa hum hain

tabahiyon ko muqaddar samajh ke hain KHamosh
hamara gham na karo dard-e-la-dawa hum hain

kahan nigah se guzarte hain dukh bhare dihat
hasin shahron ke hi gham mein mubtala hum hain