اردو हिंदी
Kar lete alag hum to dil is shoKH se kab ka | Shaahi Shayari
kar lete alag hum to dil is shoKH se kab ka

Ghazal

Kar lete alag hum to dil is shoKH se kab ka

Nazeer Akbarabadi

;

kar lete alag hum to dil is shoKH se kab ka
gar aur bhi hota koi is taur ki chhab ka

bosa ki ewaz hote hain dushnam se masrur
itna to karam hum pe bhi hai yar ke lab ka

us kan ke jhumke ki laTak dekh li shayad
har KHosha isi tak mein rahta hai enab ka

dekha jo baDi der talak us ne munh apna
le dast-e-hina-basta mein aaina halab ka

jab hum ne kaha rakhiye ab aaina ko ye to
hissa hai kisi aur bhi didar-talab ka

ye sun ke udhar us ne kiya ghusse mein munh surKH
bhabka idhar aaina bhi ham-sar ho ghazab ka

tum rabt ke Dhab jis se laDate ho 'nazir' aah
wo dilbar-e-ayyar hai kuchh aur hi Dhab ka