اردو हिंदी
Kar ke bimar di dawa tu ne | Shaahi Shayari
kar ke bimar di dawa tu ne

Ghazal

Kar ke bimar di dawa tu ne

Altaf Hussain Hali

;

kar ke bimar di dawa tu ne
jaan se pahle dil liya tu ne

rah-raw-e-tishna-lab na ghabrana
ab liya chashma-e-baqa tu ne

sheKH jab dil hi dair mein na laga
aa ke masjid se kya liya tu ne

dur ho ai dil-e-maal andesh
kho diya umr ka maza tu ne

ek begana war kar ke nigah
kya kiya chashm-e-ashna tu ne

dil o din kho ke aae the su-e-dair
yan bhi sab kuchh diya KHuda tu ne

KHush hai ummid-e-KHuld par 'haali'
koi puchhe ki kya kiya tu ne