kar ke asir-e-ghamza-o-naz-o-ada mujhe
ai dil-nawaz tu ne ye kya de diya mujhe
jaana tha itni jald to aaya tha kis liye
ek ek pal hai hijr ka sabr-azma mujhe
bujhne lagi hai sham-e-shabistan-e-arzu
ab sujhta nahin hai koi rasta mujhe
aankhen thin farsh-e-rah tumhaare liye sada
tum aas pas ho yahin aisa laga mujhe
ye dard-e-dil hai mere liye ab wabaal-e-jaan
milta nahin kahin koi dard-ashna mujhe
kashti-e-dil ka saunp diya jis ko nazm-o-nasq
deta raha fareb wahi naKHuda mujhe
rahzan se baDh ke us ka rawayya tha mere sath
pahli nigah mein jo laga rahnuma mujhe
ab main hun aur KHwab-e-pareshan hai mere sath
kitna paDega aur abhi jagna mujhe
kya ye junun-e-shauq gunah-e-azim hai
kis jurm ki mili hai ye aaKHir saza mujhe
'barqi' na ho udas sar-e-rahguzar hai wo
paigham de gai hai ye baad-e-saba mujhe
Ghazal
Kar ke asir-e-ghamza-o-naz-o-ada mujhe
Ahmad Ali Barqi Azmi