kanhayya ki tarah pyare teri ankhiyan ye sanwariyan
karengi hind mein dawa KHudai ka hum aTkaliyan
hua hai hum kun duniyan mein mayassar sair jannat ka
milin hain zauq sin phirne kun apne yar ki galiyan
miyan kahne sin un kutte raqibon ke tum aashiq par
ite jo gurfi'shi karte ho ye baaten nahin bhaliyan
esi kyun rasmasi marjaan aur kyun lal hain ankhiyan
agar tum nin kari nahin ghair sin mil raat rang-raliyan
Ghazal
Kanhayya ki tarah pyare teri ankhiyan ye sanwariyan
Abroo Shah Mubarak