kanar-e-ab tere pairahan badalne ka
meri nigah mein manzar hai sham Dhalne ka
ye kaisi aag hai mujh mein ki ek muddat se
tamasha dekh raha hun main apne jalne ka
suna hai ghar pe mera muntazir nahin koi
so ab ke bar main hargiz nahin sambhalne ka
KHud apni zat pe markuz ho gaya hun main
ki hausla hi nahin tere sath chalne ka
ab aa gae ho to phir umr bhar yahin Thahro
badan se koi bhi rasta nahin nikalne ka
'salim' sham-e-wajud aa gai hai bujhne par
bas intizar karo mom ke pighalne ka

Ghazal
Kanar-e-ab tere pairahan badalne ka
Salim Saleem