اردو हिंदी
Kamand-e-halqa-e-guftar toD di maine | Shaahi Shayari
kamand-e-halqa-e-guftar toD di maine

Ghazal

Kamand-e-halqa-e-guftar toD di maine

Tanveer Ahmad Alvi

;

kamand-e-halqa-e-guftar toD di main ne
ki mohr-e-dast-e-qalamkar toD di main ne

riwayaton ko salibon se kar diya aazad
yahi rasan to sar-e-dar toD di main ne

ye mere hath hain aur be-shanaKHt ab bhi nahin
ye aur baat hai talwar toD di main ne

safine hi ko main shoala dikha ke nikla tha
jo apne hath se patwar toD di main ne

tahakkumana ada aur faisle dil ke
kaman-e-abru-e-KHam-dar toD di main ne

girah girah jo kahin aur rishta rishta kahin
ye rasm-e-subha-o-zunnar toD di main ne

wo daeron se jo bahar na aa sake 'tanwir'
wo rasm-e-gardish-e-parkar toD di main ne