kamal-e-shauq-e-safar bhi udhar hi jata hai
kisi safar ka musafir ho ghar hi jata hai
wo aadmi hi to hota hai gham ki shiddat se
hazar koshishen kar le bikhar hi jata hai
wo hijr ho ki tere wasl ka koi lamha
wo mustaqil nahin hota guzar hi jata hai
jo is se pahle bhi shishe mein baal aaya ho
to dil kisi nai ulfat se Dar hi jata hai
chaDha hua koi dariya ho ya ki nashsha ho
'yashab' kabhi na kabhi to utar hi jata hai

Ghazal
Kamal-e-shauq-e-safar bhi udhar hi jata hai
Yashab Tamanna