kamal-e-husn hai husn-e-kamal se bahar
azal ka rang hai jaise misal se bahar
to phir wo kaun hai jo mawara hai har shai se
nahin hai kuchh bhi yahan gar KHayal se bahar
ye kaenat sarapa jawab hai jis ka
wo ek sawal hai phir bhi sawal se bahar
hai yaad ahl-e-watan yun ki reg-e-sahil par
giri hui koi machhli ho jal se bahar
ajib silsila-e-rang hai tamanna bhi
had-e-uruj se aage zawal hai bahar
na us ka ant hai koi na istiara hai
ye dastan hai hijr-o-visal se bahar
dua buzurgon ki rakhti hai zaKHm ulfat ko
kisi ilaj kisi indimal se bahar
bayan ho kis tarah wo kaifiyat ki hai 'amjad'
meri talab se farawan majal se bahar
Ghazal
Kamal-e-husn hai husn-e-kamal se bahar
Amjad Islam Amjad