اردو हिंदी
Kamal-e-be-KHabari ko KHabar samajhte hain | Shaahi Shayari
kamal-e-be-KHabari ko KHabar samajhte hain

Ghazal

Kamal-e-be-KHabari ko KHabar samajhte hain

Taban Ghulam Rabbani

;

kamal-e-be-KHabari ko KHabar samajhte hain
teri nigah ko jo mo'tabar samajhte hain

farogh-e-tur ki yun to hazar tawilen
hum ek charagh-e-sar-e-rahguzar samajhte hain

lab-e-nigar ko zahmat na do KHuda ke liye
hum ahl-e-shauq zaban-e-nazar samajhte hain

janab-e-shaiKH samajhte hain KHub rindon ko
janab-e-shaiKH ko hum bhi magar samajhte hain

wo KHak samjhenge raaz-e-gul-o-saman 'taban'
jo rang-o-bu ko fareb-e-nazar samajhte hain