kamal-e-admi ki intiha hai
wo aainda mein bhi sab se baDa hai
koi raftar hogi raushni ki
magar wo us se bhi aage gaya hai
jahan baiThe sada-e-ghaib aai
ye saya bhi usi diwar ka hai
mujassam ho gae sab KHwab mere
mujhe mera KHazana mil gaya hai
haqiqat ek hai lazzat mein lekin
hikayat silsila-dar-silsila hai
yunhi hairan nahin hain aankh wale
kahin ek aaina rakkha hua hai
visal-e-yar se pahle mohabbat
KHud apni zat ka ek rasta hai
salamat aaine mein ek chehra
shikasta ho to kitna dekhta hai
Ghazal
Kamal-e-admi ki intiha hai
Obaidullah Aleem