kam-zarf ehtiyat ki manzil se aae hain
hum zindagi ke jada-e-mushkil se aae hain
girdab mahw-e-raqs hai tufan mahw-e-josh
kuchh log shauq-e-mauj mein sahil se aae hain
ye waz-e-zabt-e-shauq ki dil jal bujha magar
shikwe zaban pe aaj bhi mushkil se aae hain
aankhon ka soz dil ki kasak to nain mili
mana ki aap bhi usi mahfil se aae hain
ye qashqa-e-KHulus hai zaKHm-e-jabin nahin
har chand hum bhi kucha-e-qatil se aae hain
dil ka lahu nigah se Tapka hai bar-ha
hum rah-e-gham mein aisi bhi manzil se aae hain
dil ek udas subh nazar ek udas sham
kaise kahen ki dost ki mahfil se aae hain
chheDa tha nok-e-KHar ne lekin guman hua
taza payam parda-e-mahmil se aae hain
han gae ja mughanni-e-bazm-e-tarab ki aaj
naghme teri zaban pe mere dil se aae hain
Ghazal
Kam-zarf ehtiyat ki manzil se aae hain
Ali Jawwad Zaidi