kam-zarf bhi hai pi ke bahakta bhi bahut hai
bharta bhi nahin aur chhalakta bhi bahut hai
allah ki marzi ka to saKHti se hai paband
hakim ki raza ho to lachakta bhi bahut hai
kotah-qadi kahti hai khaTTe hain ye angur
lekin gah-o-be-gah lapakta bhi bahut hai
parwa hai na kuchh tal ki ne sur ki KHabar hai
par saz pe duniya ke maTakta bhi bahut hai
shoridgi baDhti hai dar-e-laili-e-zar par
diwar pe ye sar ko paTakta bhi bahut hai
mahfil mein to suniye hawas-e-jah pe taqrir
pahlu mein yahi KHar khaTakta bhi bahut hai
'baqar' jo bhaTakta hai maani ke safar mein
ho surat-e-zeba to aTakta bhi bahut hai

Ghazal
Kam-zarf bhi hai pi ke bahakta bhi bahut hai
Sajjad Baqar Rizvi